dooriyaa…

Ye Andaaz bhi niraala hai, tanhaiyo ne hi hme samhala hai, sath reh ke baki sab mein hm kho gaye, dooriyaa mili toh lga khud ke pass hm hogaye

Yakeen nahi hota kal ki baat ho jaise, akele rehne se darr lgta tha, sath mil jae kisi ka aisa mehsus hota tha, par ab halaat alag hai sath mere mein hun aur sayad yahi alag baat h.

maana dooriyaa asaan nahi hoti, jeena thoda muskil kar deti hain, par himat tm samet lo toh samjh ayega ki in dooriyo ka alag hi maja hai, sath koi ho na ho tmhe khud ka matlab pta hai.

Kabhi khud ko khud se baaten karte hue suna hai? Ye pehchan bhi ajeeb mja deti hai, khud ki parchayion me chippi hai itni khubiyaan inka yakeen detin hai.

Jehan me ek ajeeb sa sukoon hoga, jab pass tmhare koi na hoga, ye sirf muh pe himmat dene wale bichad bhi jaen agar, tb bhi tumhe khud par fakr hoga.

nateeza chahe kuch bhi ho is zindagi ka, tum kisi ke liye hero bno ya villain, kabhi kisi ke zikr me aao ya zehan me, sabit karna tmhe zaruri na lagega, kyuki pass tmhare vo hoga jise tm khud samhalte aye ho.

Sahi ho ya galat, vo shaam sath me bitaoge ya akele , chuski chai ki elaichi me achi lagegi ya adrak me, tm sunset lover ho ya sunrise, ye sab ek kissa reh jaega, sab vahi hoga jisme tm hoge aur tm tab hoge jab khud ke pass aur dusro se door hoge.

In dooriyo ko mat kosso, ye bas apna kaam karti hai, tmhe khud ki qadar ho aur usko tmhari ye tm dono ko hi ehsaas deti hain. Riston ko jeena hoga, nibahana toh bas ek rivaaz hoga.

Ye dooriyon ka sauda thoda muskil hota hai, aur kisko kitna milga kehna bhi naa-mumkin hota h, tm ek safar pe hotey ho, Jahan se khud ko paane ke baad hi tum wapas laut te ho.

Koi intezzar karega tmhara bas ye hosla rakhna, vo aaj nahi toh kal tm uske pass hona, par in dooriyo se jo sikha hai usey unko bhi dena, sab ye imtehaan paar kar jae aisa bhi nahi, khud ke tazurbon ko kisi k liye raah asaan bna de aisa kaam karna.

Apka, S2

Leave a comment